best sher o shayari ever by famous shayars
I will try to share some of my favorite couplets of the great poets although there can never be something like the best sher as the best sher can not be defined and can differ depending upon the mood,profession and nature of a particular person.
Mir anees
Likh kar hamara naam zamee'n par mita diya
unka to khel,khaak mein hamko mila diya...
koi anees koi aashna nahin rakhte
Kisi ki aas baghair az KHUDA nahin rakhte
Kisi ko kya ho dilo'n ki shikastagi ki khabar
K tootne mein ye sheeshe sada nahin rakhte
Mirza Ghalib
Rago'n mein daurhte phirne k ham nahin qayal
jab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai...
Unke dekhe se jo aa jati hai munh par raunaq
Wo samjahte hain k beemar ka haal achcha hai..
Ghalib bura na maan jo waiz bura kahe
Aisa bhi koi hai k sab achcha kahein jisey...
Hamne maana k taghaful na karoge lekin
Khask ho jaenge ham tumko khabar hone tak...
Tum jano tumko gayr se jo rasm-o-raah ho
mujhko bhi poochhte raho to kya gunaah ho...
Mir Taqi Mir
Hasti apni hubaab ki si hai
Ye numaish saraab ki si hai
Nazuki uske lab ki kya kahiye
Pankhudi ik gulaab ki si hai...
mar gaya deewana hoke mai to jaise gard-o-baar
Par jisey ye waqiya pahuncha usey wehshat hui...
Mohsin Naqvi
'Mohsin' hamare saath ajab haadsa hua
Ham reh gaye hamara zamana guzar gaya
Usey pana usey khona usi k hijr mein rona
Yahi gar ishq hai mohsin to ham tanha hi achche hain
Abhi muntashir na ho ajnabi,na wisaale lutf-e-karam jata
Jo tiri talaash mein gum hue kabhi unn dIno'n ka hisaab kar...
Mohsin miri lahad mein wo manzar ajeeb tha
jab maine khud ALI se kaha YA ALI MADAD...
Abhi kamsin ho rehne do,kahin kho dogi dil mera
Tumhare hi liye rakkha hai le jana jawa'n ho kar
Na kamsin hun na naada'n hun,mohabbbat ko samajhti hun
Tumhara kya bharosa hai mukar jao jawa'n ho kar
Waseem Barelvi
har shakhs daurta hai yahan bheed ki taraf
Phir ye bhi chahta hai usey raasta miley...
Kaun si baat kahan kaise kahi jaati hai
Ye saleeqa ho to har baat suni jaati hai...
Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai
Samandaron k hi lehje mein baat karta hai
Khuli chhhaton k diye kabke bujh gaye hote
koi to hai jo hawaon k par katarta hai...
Mai nazar bhar k tere jism ko jab dekhta hun
Pehli barish mein nahaya sa shajar lagta hai...
Hamee'n unse umeedein aasma'n chhoone ki katte hain
Hamee'n bachcho'n ko apne faisle karne nahin dete...
Brij Narayan Chakbast
Zindgi kya hai anasir mein zuhoor-e-tarteeb
Maut kya hai inhi ajza ka paresha'n hona...
Momin khan momin
Tum mire paas hote ho goya
Jab koi doosra nahin hota...
Wo jo ham mein tum mein qaraar tha,tumhe yaad ho k na yaad ho
Wahi yani wada nibah ka,tumhe yaad ho k na yaad ho
Wo naye giley wo shikayatein wo maze maze ki hikayatein
Wo har ek baat pe roothna tumhe yaad ho k na yaad ho...
Allama iqbal
Khudi ko kar baland itna k har taqdeer se pehle
KHUDA bande se khud poochhe bata teri raza kya hai...
apne mann mein doob kar paa jaa suraage zindgi
Tu agar mera nahin banta na ban apna to ban...
Ahmad faraz
abke ham bichhde to shayad kabhi khwabon mein milein
Jis tarah sookhe hue phool kitabon mein milein
Ghame duniya bhi ghame yaar mein shamil kar lo
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon mein milein...
Ranjish hi sahi dil hi dukhane k liye aa
Aa phir se mujhe chhod k jaane k liye aa
jaise tujhe aate hain na aane k bahane
aise hi kisi roz na jane k liye aa
Ham ko achcha nahin lagta koi hamnaam tira
Koi tujhsa ho to phir naam bhi tujhsa rakkhe
Ye kya k sabse baya'n dil ki halatein karni
faraz tumko na aaeen mohabbatein karni
Ye kaun hai sar-e-saahil k doobne wale
Samandaron ki taho'n se uchhal k dekhte hain
Zindagi se yahi gila hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe
Parveen shakir
Mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hamne to ek baat ki usne kamaal kar diya
Mai sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
Wo jhooth bolega aur lajawab kar dega...
Ek lamhe ki tawajjo nahin hasil uski
Aur ye dil k usey hadd se siwa chahta hai
Daagh dehlvi
Khoob parda hai k chilman se lage baithe hain
Saaf chhipte bhi nahin saamne aate bhi nahin
Bahadur shah zafar
Umre daraaz mang k lae the chaar din
2 aarzu mein kat gae 2 intezaar mein...
Hasrat mohani
Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne k liye
Wo tere sookhe labo'n ka thartharana yaad hai
Nida fazli
ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar lein
Kisi rote hue bachche ko hansaya jae
main roya pardes mein, bheega maa ka pyar
Dukh ne dukh se baat ki, bin chitthi bin taar...
Abhishek shukla
Mujh mein paivast ho tum yun k zamaane wale
meri mitti se mire baad nikalenge tumhein...
Rahat Indori
Ye kya uthae qadam aur aa gai manzil
Maza to jab hai k payro'n mein kuchh thakaan rahe...
Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti mein
Kisi k baap ka hindostaan thodi hai...
Munawwar Rana
KHUDA ne ye sifat duniya ki har ik MAA ko bakshi hai
K wo boodhi bhi ho jae to bachche yaad rehte hain...
Meri khwahish hai k mai phir se farishta ho jaun
Maa se iss tarha lipat jaun k bachcha ho jaun...

Comments
Post a Comment